Meditation Kya hai,Meditation kaise Kare,Meditation k Fayde, what is meditation in hindi, Meditation k nuksaan, Meditation ke benefits,hindimehealth
Meditation kya hai?
Meditation me apne dhyan ko lagaye rakhna ka sabse best tarika yahi hai ki apna dhyan breath (Saans) me lagaye, meditation ko achhe tarike se concentrate karke hi kiya jaa sakta hai.
Meditation par Concentration
Meditation par concentration karna hota hai yaani apne dhyan ko ek taraf lagana hota hai.
Uske liye aap apna dhyan breath (Saans) ki taraf le jaa sakte hai. Ya koi bhi single word ya mantra ko repeat kar karke us par apna dhyan laga skate hai, mombanti ki jyoti/aag (flam) ke point par dhyan laga sakte hai, ekdam shant me ghadi ke kaante ki awaj par dhyan laga sakte hai. Iss tarah se aap apna focus bana sakte hai. Aur shuru me kewal apka focus kuch minutes ke liye bana rahega but after a time apke focus karne ki capacity aur time badhta hi jaega.
Meditation ke Fayde
- Blood Presser (BP) ko sahi rakhta hai
- Blood ka circulation (prasaar) improve karta hai
- Heart Ke liye acha hai
- Stress and Thakaan kam karta hai
- Dimag ko aaraam deta hai
- Chinta kam karta hai
- Saans ki samasya dur karta hai
- Positive thinking (Sakaratmak Vichar) improve karta hai
Meditation Kaise Kare?
Finally ab jante hai ki meditation kaise karte hai:
- Apni ek shant jagah chune, jaha par kisi gadi, tv, bachhe ke rone ki awaj, logo ki awaj na aaye.
- Phir meditation ke liye comfortable aur yogya kapde pahne taaki apko achha feel ho.
- Phir Sabse pahle ek chair par baith jaye aur halki si apni back (kamar) ko sidhi kar de.
- Apni aankhe band kar de.
- Saans par koi bhi control karne ki koshish nahi kare, naturally hi saans le.
- Phir apne Saans par dhyan de jaise kis tarah se apki saans andar aur bahar hoti hai. Apne chest, shoulders, Pet, pasli ko obverse (gour/dhyan lagana) kare. Apne saans ko control karne par dhyan nahi de. Jab apka dimag dusri faltu baaton par jaane lagta hai to wapas se apna dhyan saans par laga de.
Shuru me yah practice 2-3 minutes ke liye kare phir dheere-dheere ise badhate rahe.
Meditation kaise kare? Video se sikhe
Meditation ko aur bahtar tarike se samjhne ke liye in Sandeep Maheshwari ki in vidoes ko dhyan se dekhe.